Hindi Poetry: haan me badal gaya hoon

haan me badal gaya hoon



haan me badal gaya hoon

mene abh logo se umeedien karni chod di hai

unhe samjhana band kar diya hai mujhe abh koi

fark nahi padta ke koi mere bare me kya sochta hai

jab tak me logo ki maddat kar raha tha unke hisaab se chal raha tha 

tab tak me bahut acha tha mere jaisa insaan is duniya or koi na tha oe abh jab 

me apne man ki kar raha hoon apne dol ki sun raha hoon

to achanak hi me ghamnadi ho gaya mujh me attitude agaya 

baat agar selfrespect ki ho apni identity ki ho to khud ko badalna hi padta 

hai meri jaan

dusro ko pane ke chakkar me kya khud ko hi kho du?

ye baat mujhe bilkul bhi manzoor nahi

haan me manta hoon ke me pehle thoda bahut na samjh tha apni self respect se jayada 

me rishto ko ahmiyat deta tha logo ko khush rakhne ke liye me aoni

hi khushiyona ka gala ghont deta tha 

me humesha ye samjhta tha ki rishte dil se nibhaye jate hai dimaag se nhi

lekin meri iss achhiy ka logo ne humesha fayda utha 

kabhi kabhi sochta hoon ki akhir kyun kyu ye duniya itni matlbi hai 

kyun ye duniya kisi ke acche hone ka fayeda uthati hai matlb

 ke accha hona bhi jaise koi gunha ho

lekin jab mene r ishton ko gor se dekh to samjh ayya yhaa accha hona bhi yhaan ek sharp ke jaisa hia yhaan har koi sirf apne liye ji raha hai 

unhe kisi ke emotions se kisi ke sukh dhukh se koi fark nahi padta

unhe fark padta hai to bas apne aap se apni khushi or apne gamo se

pata hai meri sabse badi galti kya thi  me har kisi ko apne jaisa maan leta tha lekin abh bas abh or nahi

mene abh logo ke piche bhagna band kar diya hai

chod diya hai unlogo ka sath jo sirf apne matlb ke liye mere sath theko 

haan me abh akele rehna pasand karta hoon der se hi sahi par abh mujhe samjh agaya hai k logo k piche bahgne se koi fayeda nahi vo sirf apni jarurato ke hisaab se hi humme treat karte hai

me zindagi ko jine ke mayne sikh gaya hoon 

haan me abdal gaya hoon.





एक टिप्पणी भेजें (0)
और नया पुराने